Abdul Jaleel Ebad
Official website of the renowned and great poet of our time
Since 1st March 2010
75.189 hits
 
Selected countries
 
Denmark
Germany
Great Britain
Norway
Pakistan
United States
 United Arab Emirates
 Ukraine
 Canada
 Oman
 Qatar
Australia
 Saudi Arabia
 Japan
 Russian Federation
 Ireland
 Nigeria
 Sweden
 Turkey
 Spain
 Bahrain
 India
 Belgium
Kuwait
Senegal
Netherlands
China
Malaysia
Czech Republic
Azerbaidjan
South Africa
Argentina
South Korea
Switzerland
Indonesia
Nepal
Home      Poetry Roman Urdu
Print this pageAdd to Favorite

Read the respons on the poetry of Ebad on Facebook

Personal profile Fan Page 

 

********** 

1

Hum nay her haal mein os ko he muqaddam rakha

Khushi mein bhoolay na gham mein koi maatam rakha


Kaun kehta hai keh zulmat thy shab-e-furqat mein

Hum nay shamma ke tarha aankh ko bhi nam rakha


Hijr kay zakham to ek aan mein bhar jaeen gay

Tu nay jo wasl mein guftaar ka marham rakha


Sar yeh kat'ta hai to kat jaye rah-e-ulfat mein

Hum nay ooncha he beharhaal yeh parcham rakha


Ahal-e-fan likhtay rahay khoon say zamanay kay sitam

Shehar-e-baydard nay dil waalon ko mujrim rakha

_______________________________________________

2

Jab dagha apnay sitaaray he hamein dainay lagay

Hum bisaat-e-waqt kay piyaadon say bhi pitnay lagay


Bujh na jaye aankh say jalta sitara bhi kahein

Is liye hum raat kay her taak mein jalnay lagay


Ehad woh jo patharon pe hum nay likhay thay kabhi

Waqt ke aandhi say zarron ke tarha ornay lagay


Jo muqabil tha safoon mein woh mera humzaad tha

Os say larnay bhi lagay aur khud say bhi bachnay lagay


Jab piyaalay mein na otri chand ke koi kiran

Hum to raaton mein sharab-e-teergi peenay lagay

_______________________________________________

3

Na saleeqa hai na izhaar ke taqat mujh mein

Bas kisi naam ke likhi hai ibarat mujh mein


Choom laita hoon jahaan paoon bhi woh rakhta hai

Aur koi bhi nahi yara karamat mujh mein


Meherbaan ho ya kabhi ho woh khafa he mujh say

Rehti her haal mein hai os ke ata'at mujh mein


Kar kay band aankhein main kar laita hoon baatein khud say

Aaina daikhnay ke bhi nahi taqat mujh mein


Siskiyaan sonta hoon din raat main apnay ander

Kaun karta hai yeh ro ro kay ibadat mujh mein

_______________________________________________

4

Veeraniyoon kay khauf say hansna para mujhey

Banjar zamein bhi khil othay rona para mujhey


Sheesha garoon kay shehar mein suraj thay her taraf

Saye ko lay kay saath he jalna para mujhey


Sagar say aashna tha na toofan say aashna

Her mauj-e-tund khaiz say larna para mujhey


Gul kar na day hawa-e-zamana so aay Khuda

Dil ko jala kay seenay mein rakhna para mujhey


Duniya say jhuknay wala to lagta nahi Ebad

Hai aur koi daikhta, Darna para mujhey


_______________________________________________

5

Aay watan teri mohabbat mera juzv emaan

Dil kay aayene meein rehta hai tera aks ayaan


Duur reh kar bhi tu rehta hai khayaalon peh sawaar

Aankh roti hai tera naam jo laiti hai zabaan


Teri izzat, teri shohrat, teri khushiyaan hain aziz

Teray parcham kay haseen chand peh jaoon qurbaan


Meri pehchan meri aan meri shaan hai tu

meray ash'aar mein pinhaan hain tera zikr-o-biyaan


Teri rag rag mein shaheedon ka lahu daurta hai

On ke khushboo teri is khaak mein hai ab bhi ravaan


Apnay haathon say jareen is ke na kaato logo

Muddaton ashk bahaye to hoe fasal javaan


Aao sab mil kay dua kartay hain Malik kay hazoor

Ta-qayamat rahay duniya mein tera naam-o-nishaan

_______________________________________________

6

Dariya charhay to kashti ko kab badbaan milay

Mausam badal gaye to kae meharbaan milay


Tanha othani parti hai ab dard ke saleeb

Is daur mein kisi ko Maseeha kahaan milay


Darta hai ab to aadmi apnay he saye say

Suraj say dost pusht kay ander nehaan milay


Gardish ke dhoop chaat gaye husn zaat ka

Mehloon mein basnay walay bhi bay-khanmaan milay


Daitay hain woh to dars-e-shakibaaye aaj bhi

Dast-e-hunar say jin ke hamein kisht-e-jaan milay

_______________________________________________

7

Day gaya kaun ye phir zakham-e-shanasai mujhey

Dasht-e-ghurbat mein bhi chooray ge na rusvaai mujhey


Ajnabi miltay hain raahon mein bichar jaatay hain

Qaaflay dard kay day jaatay hain tanhai mujhey


Umar bhar jaagti hain aankhein sitaaray gintay

Karni parti hai siyaah raaton ke sehraai mujhey


seel-e-toofan kay bhanwar say abhi niklay bhi na thay

Kahein lay doobay na phir dil ke ye dariyaae mujhey


Garam mausam mein rakhein aag kay dil per phahay

Phoonk daalay na kahein aaisi Maseehai mujhey

_______________________________________________

8

Toota hon kitni baar main, ginta nahi hoon ab

Chooro meray wajuud ko, jurta nahi hoon ab


Likha hai itni baar main nay khuwaab ko azaab

Kaisa bhi koi khuwaab ho darta nahi hoon ab


Maarein ge ab yeh kiya mujhey nafrat ke barchiyaan

Maara hai itni baar ke marta nahi hoon ab


Aati hai baar baar hawa mujh say cheen'nay

Khushboo main apnay dard ke daita nahi hoon ab


Aayene mein ab to saaray he chehray hain ajnabi

Tu kaun hai main kaun hoon kehta nahi hoon ab


Shaiyad main munkashif na hoa apni zaat say

Likhta hoon saari raat main soota nahi hoon ab


Pohanchay ge dil ke cheekh kabhi aasmaan talak

Rakhta hoon sar zameen pe, khulta nahi hoon ab


Phoonkay na koi kaan mein Ebad aa kay soor

Pathar ka ho gaya hoon main sonta nahi hoon ab

_________________________________________________

9

Meri dastaras mein na thy hawa jo bikhar gaya to malaal kiya

Yeh jo phool jharnay hoon pair kay to karay woh naaz-o-jamaal kiya


Janay kab say gathri musafrat ke otha kay hoon main chala hoa

Mujhey hoosh kab tha keh janta yeh guzar gaye mah-o-saal kiya


Rang-e-jaan say khoon ko nichoor kar aay shoreeda sar tujhey kiya mila

Na chaman khila na Khuda mila to riyaazaton ka kamaal kiya



Tu nay zaviya he badal diya meri sooch ka dil-e-baymehar

Ab ghaur karna hai wasl kiya ab soochna hai wisaal kiya


Nahi shauq zakham numaai ka yeh safar hai aabla paye ka

Kisay kiya bataaon keh yeh jahaan bana karbala hoa haal kiya


Main to khud hon apni talaash mein mujhey shohraton ke talab nahi

Mujhey kiya khabar keh arooj kiya mujhey kiya pata keh zawaal kiya


Kunj-e-aasman mein chupa liya kia tang zamein nay jab mujhey

Daikhein ab kay waqt ke taigh phir chalti hai apni yeh chaal kia

__________________________________________________

10

Mujh say nafrat ya piyaar kar laitay

Silsila kuch to yaar kar laitay


Baat karna giraan tha itna agar

Khud pe taari khumaar kar laitay


Dhoop gar thy to zulf-e-janaa ka

Saya he musteaar kar laitay


Jab muqaddar mein hijratein hain likhein

Zaad-e-raah chash-e-yaar kar laitay



Teray khuwaabon ko woh saja daita

Yaad jo aik baar kar laitay


Hum ko miltay hain zakham rooz naye

In ko kaisay shumaar kar laitay


Apnay zakhmoon ko taazgi day kar

Intezaam-e-bahaar kar laitay


Milti jo teri yaad ke kashti

Behar-e-gham hans kay paar kar laitay


Darguzar woh Ebad kar daita

Aankh jo Ashkbaar kar laitay

_________________________________________________

11

Aag say guzra hoon kundan ka irada lay kar

Jaoon ga dasht mein sawan ka libada lay kar


Khushboeen qaid mein rakhna nahi aaya mujh ko

Fasl-e-gul aaon ga main sehan kushada lay kar


Mujh ko matlab teray deedar say he, may say nahi

Tum chalay aao faqat aankh ka badah lay kar



Toor aaya hoon main teray liye saaray rishtay

Ghar say nikla hoon main tanhaai ka jadah lay kar


Choor jatay hain yahaan daagh he dil per rishtay

Paas aaon teray kaisay dil-e-sada lay kar


Na he khud pe ho yaqeen aur na he Khuda per jis ko

Kiya karay ga woh faqat khaali irada lay kar


Maat to de hai zamanay nay Sikandar ko Ebad

Aur tum baithay ho bas aik piyaadah lay kar

________________________________________________

12

Sehra ko mujhey phoolon say bharnay ka janoon hai

Nafrat ko mohabbat mein badalnay ka janoon hai


Zulmaat kay sagar mein koi chand hai baychain

Ek roshni hai jis ko nikharnay ka janoon hai


Gum sum hai khara sooch mein sadiyoon say yeh insaan

Main kaun hoon woh kiya hai samajhnay ka janoon hai


Dildari-e-gham kis say karay koi jahaan mein

Her shakhs ko to aag peh chalnay ka janoon hai



Ek yaad hai jo paoon ke zanjeer bani hai

Ek dil bhi hai jis ko keh tarapnay ka janoon hai


Hansta hoon kabhi khul kay to lagta hai badan kay

Zindaan say ab mujh ko nikalnay ka janoon hai


Dar jata hoon karta hai jo parvaaz takhaiyul

Yeh kaisa mujhey waqt ko parhnay ka janoon hai


Parhtay na samajhtay na he sontay hain yeh pathar

Phir bhi mujhey deewaron peh likhnay ka janoon hai


Soeen nahi muddat say yeh jalti hoe aankhein

Woh kaun hai jis say inhein milnay ka janoon hai

________________________________________________

13

Ghool kar gham sharaab lay aao

Karb hai bayhisaab lay aao


Aaj chairoon ga gham kay taaron ko

Koi zakhmi rubab lay aao


Hum nashay mein sawaal poochein gay

Hoosh walo jawaab lay aao



Hum bhi apnay gunah laye hain

Tum bhi apnay sawaab lay aao


Hum to sehra otha kay laye hain

Rah mein tum saraab lay aao


Ek samander hai apnay seenay mein

Phir wohi mahtaab lay aao


Kioon sakoon mein rahay dil-e-muztir

Ek naya iztaraab lay aao


Qarz saaray otaar day ga Ebad

Sab hisaab-o-kitaab lay aao

_________________________________________________

14

Meri Tanhai Yeh Sawaal Kar

Yeh meray ander kay zard pattay

Bachasham-e-tar jo lipat kay daikhay hain Shaakh-e-gul ko

Mujhey yaqeen hai kisi naveed-e-sehar ke chaapon kay muntazir hain

Woh kaun hai jis kay dukh ko dil mein liye hoe yeh

Siyaah raaton kay tanha gooshon mein apnay dil ko jala jala kar

Zameen pe taaray saja saja kay

Kisi kay daman mein chandni ke haseen kirnoon kay muntazir hon

Yeh kaun hai jo khizaan raseeda say mausamoon mein nawaazta hai

Gae bahaaron ko bhaijta hai yeh kaun hai, jis ko main nay soocha

To gham kay badal bhi chutt gaye hain

Meri duaeen, hawaeen ban kar siyaah badal hata rahi hain

Yeh kaun hai, Jis ke muskurahat say shaamein roshan hon aik pal

Mein ochal paray aik seel-e-anjum udaas raaton ke teergi mein

Woh kaun hai jis kay ek tasavvur say gungunaati hain meri raatein

Woh kis ke yaadon ke loriyoon say mujhey sulaati hain meri raatein

Woh kaun hai jis ko soochta hon

Woh kaun hai, yeh batao mujh ko

__________________________________________________

15

Her aik khuwahish-e-zinda ko maarna hai hamein

Likha gaya hai keh pardees kaatna hai hamein


Galay mein tauq-e-judaai bhi ab pehan'na hai

Saleeb-e-waqt peh rishtoon ko taankna hai hamein


Lipat kay roona hai ab saari umer yaadon say

Gali mein maazi ke ab dar kay jhaankna hai hamein


Sona hai hijar ke raatein taveel hoti hain

Sitaaray aankh mein rakh kar he jaagna hai hamein


Jo gham ke aag sulagti hai apnay seenay mein

Isi say sard se raatein guzaarna hai hamein



Yeh hijratoon ka safar bamuraad kab ho ga

Yeh soochna hai hamein ab yeh jaan'na hai hamein


Yeh dasht hai yahaan imkaan nahi hai dariya ka

Isi saraab say paani nikaalna hai hamein


Ghari bohat he kuthan hai yeh zindagi ke Ebad

Shikasta kashti mein toofan ka saamna hai hamein

_________________________________________________

16

Pakistan Kehta Hai

Kia kia meray naseeb kay manzar hain in dinoon

Her rah per azaab kay pathar hain in dinoon


Hum dono woh hain jin ka koi ant he nahi

Sehra hoon main to woh bhi samander hain in dinoon


Muddat say dairay daalay hoe hain bala-e-shab

Deewar-o-dar say liptay hoe darr hain in dinoon


Apna naseeb apnay he haathon say nooch kar

Baithay hain shaakh-e-yaas pe, bay-par hain in dinoon


Bay-mehar ho gae hain hawa ke rifaaqatein

Phoolon kay saath saath bhi nishtar hain in donoon


Kaisay kahoon ke in ko Khuda per yaqeen hai

Sajday karay jo ghair ko bhi sar hain in dinoon


Niklay thay kab watan say hamein yaad ab kahaan

Hijrat naseeb loog hum, bayghar hain in dinoon

________________________________________________

17

Main naqsh-e-dasht hoon mujh ko sambhaalna kaisa

Hawa ke zad pe hoon rehta sanwaarna kaisa


Fana kay baad fana phir fana phir aur fana

Yeh zindagi hai to phir rang ochaalna kaisa


Jafa ka daur hai qatil to apnay saye banay

Adu nay seenay mein khanjar otaarna kaisa


Yeh mehar-o-meh ke tamanna koi saraab nahi

Safar mein thak kay garebaan ko phaarna kaisa


Main roshni mein tumhari naha kay kiya loon ga

Jo sona ho chuka kundan, ojaalna kaisa


Yeh shehar-e-sang hai aur kaanch ka makaan mera

To phir kisi ko madad ko pukaarna kaisa

_______________________________________________


18

Koocha-o-bazaar mein tanha he sab phirtay rahay

Jism-o-jaan khoe rahay aur peerhan miltay rahay


Aashiyaan bhi rafta rafta maqbaroon mein dhal gaye

Baam-o-dar ke khaamshi say saye bhi dartay rahay


Badnaseebi, is tarha khaati hai hariyaali kay khait

Jis tarha barish ko pee kar dasht yeh jaltay rahay


Kar saki tabdeel kab koi qayamat bhi mizaaj

Zindagi kay kaam to her haal mein chaltay rahay


Kaun thay aur kis jagah kay loog thay jo keh hameesh

Zakham khaatay khaatay bhi dil say dua daitay rahay


Koi to rakhay ga marham, dhoondiye ja kar Ebad

Aanay wala hai Maseeha kab say yeh sontay rahay

_______________________________________________

19

Jo apni daar say bichray hain kuch zikr karo on yaaron ka

On bhooli basri yaadon ka, on galiyoon aur deewaron ka


Kiya ab bhi rait kay teelon pe hain roshan deep mohabbat kay

Kiya ab bhi os ja rukta hai koi qaafla ishq kay maaron ka


Kiya ab bhi raat kay aangan mein waan chandni khailnay aati hai

Kiya ab meela lagta hai waan bichray chand sitaaron ka


Kiya ab bhi khushboo phoolon ke os dhoop mein nasha bharti hai

Kiya ab bhi jaam chalakta hai on khiltay hoe gulzaaron ka


Aay dais say aanay walay teray chehray pe sab kuch likha hai

Kiya haal chupaye chupta hai hans dainay say dukhiyaaron ka


Haan ab bhi raaj singhaasan per hai qabza zalim loogon ka

Haan ab bhi sikka chalta hai on zulmat kay sardaaron ka


Haan ab bhi qismat hijrat hai os dais mein qaum parastoon ke

Haan ab bhi dhaya jaata hai ghar dais kay he meemaron ka


Hum roshniyoon kay pekar hain hamein choro taiz hawaaon mein

Hum jal jaeen to tootay ga pindaar inhi andhiyaaron ka

_________________________________________________

20

Kaisi aankhon ko hamari yeh saza daitay hain

Khuwaab her rooz diye in mein jala daitay hain


Itni umeedein na wabasta karo hergiz tum

Chand jhoonkay yeh diye pal mein bujha daitay hain



Yaad rakhta hai yahaan kaun puraanay rishtay

Gard par jaye to pehchan bhula daitay hain


Khoon mein doob gaye phir koi hansti basti

Rooz khabroon mein naye laashay dikha daitay hain


Kitnay bay'his hain naye daur kay insaan ya Rab

Shehar kay shehar yeh lamhoon mein jala daitay hain


Hum he badlein gay zamanay ka yeh zalim, chehra

Likh kay tum rakh lo kitaabon mein, bata daitay hain

_________________________________________________

21

Apnay honay ka kuch pata daitya

Kuch na kuch zakham he laga daitay


Dar tha tujh ko agar zamanay ka

Piyaar aankhon say he dikha daitay


Bay-sabab ghair say kaha tum nay

Apnay haathon say he saza daitay


Zindagi to teri amanat thy

Teray charnoon mein hum bita daitay



Kat he jaatay udaas say lamhay

Tum jo khuwaabon ka aasra daitay


Ho he jaatein amar meri ghazlein

Tum jo masti mein gunguna daitay

________________________________________________

22

Jo apnay aap say nikloon to os ko ja kay miloon

Mera to chehra he gum hai main kiya dikha kay miloon


Ghubaar-e-zaat mein to chup gaye hain manzar sab

Jo is pe barishein barsein to main naha kay miloon


Andheri raat mein dil chahay os kay dar pe main

Koi dua ka diya aankh mein jala kay miloon


Main os ke raah mein kashkool rakh doon sab apnay

Woh badshah main gadagar hon is ada say miloon


Kabhi to mujh pe ho tu aa kay meharbaan aay hayaat

Kabhi tujhey bhi khushi say galay laga kay miloon

________________________________________________

23

Os ke yaadon ke her ek shab mein riyazat ke hai

Osay chaha he nahi os ke ebadat ke hai


Mujh ko hai naaz keh shab-khoon na mara main nay

Main nay her haal mein dushman say diyanat ke hai


Aik pattay ka bhi saya na shajar say nikla

Zard mausam ke hawaaon nay adawat ke hai


Aablay phoot kay rootay hain meray paoon kay

Yoon meray zabt say ashkoon nay baghavat ke hai


Thak kay aashufta-sari soye thy ek pal kay liye

Phir teray khuwaab nay woh pehlay se halat ke hai


Kaisay shikwa karay ghairoon say bhala koi Ebad

Apnay haathon say he khud apni jarahat ke hai

________________________________________________


 

Kisi haseen ka partao ye iski zaat may hai
wagarna husn kahan itna kayinaat may hai

Hua hai kiski ye khushboo say mushqbar jahaan
ye kon phool hai kiskay kamal-e-zaat may hai

Ye kaafila jo ke hai silsila mohobat ka
inaan iski ye kiskay noorani haat may hai

Main naam konsa khushboo kay phair ka rakhun
shogufa khilta naiya jiski baat-baat may hai

Ajeeb dhaur hai haar chaand ki musafat ka
ujalaa barta nasha jiski raat-raat may hai

Bahaar kardin zameen-e-khazan ki maari hueen
ye in ka ashq-e-dua bhi to mojezaat may hai

Mohabaton ki na genti na ashiqon ka shumar
haar aik shaqs yaha dil ki wardaad may hai

Kisi kay hisay may aya hai shehr-e-hijraan bhi
jo khush-naseeb hai wo kuu-e-iltafaat may hai

Zahe naseeb ke hum uskay ruub-e-ruuh baitein
ye la zawal sa lamha to khwaishaat may hai

 
**************
Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai
na jaane kiska isay intezaar rehta hai
 
Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray
meray khayal ke rath par sawar rehta hai
 
Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay
junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai
 
Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai
kinaray aab kohi sogwar rehta hai
 
Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay
mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai
 
Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay
ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai
 
Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day
Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai
 

**********

Jo zindagi hai kabhi uskay khwab bhi likna
ye khwab bantay hain kaisay azaab bhi likhna
 
Likho jo taj ko suraaj zameen ko sehra
to ansuon ko humaray shahaab bhi likhna
 
Jo dhoop chaon ki manzer kashi kabhi karna
ye aftaab hai isko sahaab bhi likhna
 
Beyaan karo kabhi kaamat jo us qayamat ki
badaan hai shakh to chehra gulaab bhi likhna
 
Ye aarzuein hain dil ki ya hasratoon ka mazaar
jo dil pay guzri hai us par kitaab bhi likhna
 
Mairay gunahon ko likhna hee bhul jana tum
jo naikh armaan hain unkay sawaab bhi likhna

********** 

Bin kahe par lay jo meri aankh ki tahreer ko
roshni mil jaye meray khwab ki tabeer ko
 
Mairay veeranay mein a jaye jo mera khush kharaam
rhaang mil jaye meri be-rhaang si tasweer ko
 
Haar kadaam par aik naye zindaan ka hain samna
tor day koi to a kay halqa-e-zanjeer ko
 
Urr na paya tha kay barish golion ki ho gayi
kwahishay parwaz nay ye kya diya nakhjeer ko
 
halqa-e-yaraan mein hai haar phool ki khushboo alaag
rakhti hai pardes mein zinda dil-e-dilgeer ko
 

********** 

Zindagi tere naam kardi hai
ye khabaar humne aam kardi hai
 
Modadatein kashmakash mein guzri hain
be-kaali aab tamaam kardi hai
 
Ho gaye hum fanaa mohabat mein
khushboo aab ye dawaam kardi hai
 
Raat ko cheer kar chamaakti jo
taigh wo be-neyaam kardi hai
 
Mera dushmaan hai na samaaj usne
dushmani teray naam kardi hai
 
****************
Na to berukhi ka gilaa mujhe na hee chahaton ka sawal hai
mujhe aaj tak na samaaj sakah baas iska hee to malaal hai

Ye mohabatein ye rafaqtein meri kayinaat ki saans hain
diya nafraatton ki hawa may aab jo jalaah hai ye to mahaal hai
 
Meri washaatein hi na kaam huein meri khalwatein hi na chup huein
kisay kya khabar ye dewanapan meri khwahishon ka kamal hai
 
Kabhi chaand neklay jo raat may to ye reh-guzaar say chamaak utay
jo mein khush-namaa bhi kabhi lagoon to usi ka aks-e-jamaal hai
 
Dil-e-dasht may jo chaali hawaah to wo layi gaihr kay ye ghaataah
jo shaajaar tha kabsay khizaan asaar wohi bareshon mein nahaal hai

***********
Do hison may zaat meri takseem huee
tutay khwab to phir unki tafheem huee

Jin kay kol-o-fail nahi tay ek jaisay
hum pay wajeb unki bhi tazeem huee

Dekhay baal-e-haat hain jinsay luthtay hain
phir bhi aapni soch may kab tarmeem huee

Hum bhi to taqseem hue hain khanon may
isi liye ye darti maah do neem huee

Humnay jiski qadaar na ki to uski phir
waqt nay badli aankh to tab taqreem huee

Khami hai bas aik humari haasti may
tokhron say bhi is may na tanzeem huee
 
Khushboo kitni baar humaray paas ayi
be-his tay hum iski na taqreem huee
 
**********
Jalti aankhon may kohi khwaab basaoon kaisay
ye asaasa hain inhein raakh banaoon kaisay
 
Rang-e-duniya bhi hai aur khwahish-e-fardos bhi hai
sochna ye hai kay damaan ko bachaoon kaisay

Asmaano ki taraf phir say mein urnaa chahoon
paaon zanjeer say lekin mein churahoon kaisay

Waqt zaleem hai kabhi lauth kay ata hee nahi
aab mein beetay huey lamhaat ko laoon kaisay

Bahr-e-washaat say meri naao uchaley koi
khud ko girdaab say akhir mein bachaoon kaisay
 

 
 
 
 
 

 



 



 
 
Abdul Jaleel Ebad on Facebook